Dil E Nadaan Tujhe Lyrics & Chords By Jagjit Singh & Chitra Singh
dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai?
aakhir is dard kee dawa kya hai
humko unse wafa ki hai ummeed
jo nahee jaante wafa kya hai
dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai?
dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai?
aakhir is dard kee dawa kya hai?
dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai?
hum hain mushtaaq aur woh bezaar
hum hain mushtaaq aur woh bezaar
ya ilaahee! yeh maajra kya hai?
dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai?
jab ki tujh bin nahi koee maujood
jab ki tujh bin nahi koee maujood
fir ye hangaama, aey Khuda! kya hai
dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai?
jaan tum par nisaar karta hoon
jaan tum par nisaar karta hoon
main naheen jaanata duaa kya hai
dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai?
dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai?
aakhir is dard kee dawa kya hai?
dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai?